.

Header Ads

Breaking News
recent

book 100% Confirm Tatkal Ticket In Just 30 Second 2017 | Free

irctc 100% Confirm Tatkal Ticket In Just 30 Second 2017 | Free


welcome to husen technical ham sab jante hai ki aaj ke dour me hamare liye tatkal ticket book karna kitna muskil kaam hai 2 minute me sari train full ho jati hai or ham nirash  hokar apna journey date ko aage badhana padta hai 
kitna achha hota agar ham apna tatkal ticket sirf 30 sec.me book kar lete 

aaj main aapko best tips bataunga jisse aap bahut hi asani se 30 sec me apna confirm tatkal ticket book kar lenge uske liye aapko jyada kuch karne ki jarurat nahi hai aapki typing speed thodi achhi honi chahiye or aapka internet fast hona chahiye 

kai baar aaisa hota hai hamara ticket internet slow hone ke wajah se book nahi ho pata hai main aapko ek aaise extension ke bare me bataunga jisme aap apna pura details pahle se hi fill kar ke rakh sakte hai 

jab tatkal ticket ki booking chalu ki jayegi tab aapko usme jyada kuch karne ki jarurat nahi padegi aapki puri details automatic fill ho jayegi or aap bahut jald hi payment kar ke apna ticket 30 sec. me book kar payenge 


How To Book 100% Confirm Tatkal Ticket In Just 30 Second 2017 | Free


sabse pahle hame ek extension download karna padega
tatkal for sure name se aap downloads ke button pe bhi click karke download kar sakte hai direct bhi search kar sakte hai 



aap ye step ko bhi follow kar sakte hai 

  1. side wale three . pe click kijiye 
  2. more tools me jaiye 
  3. extension me par click kijiye 
  4. get more extension pe click kijiye 
  5. search bar me type kijiye tatkal for sure
  6. add to chrome par click kijiye 
  7. agar aap direct link se aaye hai to aap bhi in extension ko install kar lijiye 
  8. add to chrome ke click kare 
ab aapka extension install ho gya hai ab aap usko open kijiye 
  1. generate ticket pe click kijiye 
  2. create a new trip pe click kare 
  3. irctc usename type kare 
  4. password inter kare 
  5. next ke button pe click kare 
    book-confirm ticket-irctc
fill journey details jaise ki aap is image me dekh rahe hai aapko is forum ko fill karna hai aap ko chinta karne ki koi jarurat nahi aapka details kahi bhi leak nahi hoga ye ek extension hai iska kam hai aapke details ko autofill karna jab irctc pe ticket book karenge 10 se 11 baje ye auto fill kar dega to aapko ticket me name date train number dalne ki jaruart nahi padegi 
irctc

  1. from me kaha se ja rahe hai fill kare 
  2. to me kaha tak jana hai fill kare 
  3. kis date ko jana hai fill kare 
  4. train number fill kare 
  5. koun sa class me jana hai fill kare 
  6. quota fill kare 
  7. boarding station fill kare waise optional hai nahi bhi fill karenge to koi bat nahi 
aapko main ek bat or yaad dila du talkal ticket Ac 10 baje open hota hai or sleeper 11 baje khulta hai main aapko bata dena chahta hu ki aap detail ko achhe se fill kijiye taki aapko ticket book karne ke time koi pareshani na ho aapna name pata achha se fill kare keunki ye opening ke time aapko direct payment option pe leke jayega tabhi aap apna ticket fast book kar payenge 



yaha pe passenger details fill kare 


sabse last me aapse puchega ki aap apna bank ka details fill karne ke liye puchega aap usme bhi apna debit card ya net banking ka details fill kar sakte hai aapko jyda tention lene ki koi karurat nahi hai mujhe nahi lagta hai ki aapka koi bhi details leak hoga ye aapka infomation chrome me save rahta hai

agar aap chahte hai to skip kar sakte hai ye aapke upar depend karta hai ki aap bharna chahte hai ya nahi 


puri details fill karne ke baad aap submit karde ab aapke samne aapka ticket ka full details show karega 

jab ticket ki booking chalu hogi to aapko open karna hai 
example 9:59 baje 1 minute pahle enter kare aapse irctc capcha fill karne ke liye bolega capcha fill kar dena hai or login ke button pe click karna hai uske baad sari chije automatic hoga aapko usme kuch karne ki jarurat nah hai last me aapse capcha fill karne ke liye puchega aapko capcha fill kar den hai 

last me aapko payment ke option pe le jayega aapko payment information ko fill karna hai or proseed karna hai 
ab aapka tatkal ticket book ho chuka hai 

main aapko or bhi kuch batana chahunaga aap pahle se bhi irctc pe login ho sakte hai jab 10 bajega action automatic kam karna chahlu kar dega 

mujhe umeed hai ki aapne sikh liya hoga ki tatkal ticket 5 sec, me kaise book kar sakte hai agar aapka koi sawal ya sujhao hai to aap mujhe comment box me bata sakte hai agar ye information achha laga to please apne dosto ke santh bhi share kijiye or unki bhi help kijiye 

No comments:

HUSEN TECHNICAL . Powered by Blogger.