facebook youtube post video ko embed kaise karte hai
facebook youtube post video ko embed kaise karte hai
hello friends welcome to husen technical ham jab bhi koi post apne ya blog likhte hai to hame uska koi sabut bhi apne viewer ko dikhana padta hai aaise me ham uska image ya photo apne blog me dalte hai to copyright aajata hai aaise me ham uske pure post ya video,image ko embed kar sakte hai taki hamare viewer khud dekh sake ki usne kya likha hai ya real video me usne kya bola haiya ham kuch blog likh rahe hai usme hame youtube ka video ko embed karna hai to ham kaise embed kar sakte hai taki hamare viewer achhe se samajh sake
Embed kya hota hai ?
jab ham kahi dusri chij ko utha kar kahi dusri jahag baitha dete hai use embed kahte hai jaise kisi ne facebook pe kuch dala ya ya youtube pe bhi kuch dala hai or ham chahte hai usse apne blog ya website par dalna to ham hame website par share nahi kar sakte ham usse waha se utha kar apne site me embed kar dete hai
facebook post ko embed kaise kare ?
sabse pahle ham jaan lete hai ki facebook post ya video ko embed kaise karte hai facebook post ko embed karne ke liye aap jis post ko embed karna chahte hai us post ke corner pe jaiye three dot ... pe click kijiye aapke smne ek manu khulega usme embed ka option aapko dikhai dega jaise ki aap is image me dekh sakte hai
ab aapko Embed ke option pe click karna hai
ab aapke samne kuch kuch code dikhai dega ab aapko us code ko copy kar lena hai or aap jaha pe us post ko embed karna chahte hai us code ko paste kar dijiye
jaise ki aap chahte hai apne post me add karna to aap us code ko copy kijiye or apne blog ke post me jaiye or html pe click kijiye or usse jaha add karna chahte hai waha paste kar dijiye jaise ki aap is image me dekh sakte hai
ab aap niche us code ko pest kar dijiye ab aap compose pe click kar dijiye or publish kar dijiye ab aapka post embed ho gya hai
youtube video kaise embed karte hai ?
youtube video ko embed karne ke liye aap youtube site par enter ho jaiye or aap jis video ko embed karna chahte hai us video video ko open kijiye video ke nichhe aapko share ka option aayega aap us share ke button ke click kijiye
jaisa ki aap image me dekh sakte hai aap same waise hi is code ko bhi copy kijiye or same maine pahle jaise bataya tha paise hi jaha video ko embed karna chahte hai waise hi paste kar dijiye
twitter post ko embed kaise karte hai
twitter post ya video ko embed karne ke liye aap twitter post ke cornetr me click kijiye or same pahle ke tarah hi aap us tweet ke code ko copy kijiye or jaha pe aapko paste karna hai aap us code ko pase kar dijiye
mujhe umeed hai ki aapne sikh liya hoga ki twitter facebook youtube video post ko kaise embed karte hai agar aapka koi bhi sawal hai to aap hame comment box me bata sakte hai
aap apane sujhai bhi hame question answer forum me puch sakte hai