online shopping kaise kare puri jankari step by step hindi me - husen technical
online shopping kaise kare ? |
online shopping |
ye internet ka duniya itna bada ho gya hai ham jo bhi sikhe jitna bhi sikhe kam hi hai internet se hamlog itna kuch sikh rahe hai jo hamlog kabhi padhe hi nahi the internet ne hamari jindagi ko itna aasan bana diya hai ham jo sochte hai wo hamare samne aajata hai agar ham haqeeqat me koi sawal ka jawab dhundhenge to hame kitab khareedna padega uske baad pura keetab padhna padega fir uska jawab milega lekin internet me ham jo bhi sawal search karenge hame uska jawab turant kuch ki sec. me mil jayega to isse aasan koi or tareeka ho hi janhi sakta hame kuch sikhne ke liye
waise to log google ko gyan ka bhandar bhi kahte hai or kahe bhi keun na har sawal ka jawab hai uske pass
jaise jaise log internet ka use kar rahe hai wo sochte hai ham keun market me jaye kuch saman khareedne ke liye ham online shopping hi karenge to hamare liye achha hoga hamara man pasand saman bhi milega or hamare ghar pe pahucha kar milega to ham keun jaye kahi hai na waise log dheere dheere online shopping ke taraf aage badh rahe hai
kuch gareeb log bhi iska bahut fayeda utha rahe hai city me logo ke pass waise hi kam samay hota hai subah uthne par bahut sare kam hote hai isliye kisi ko ghar me khana banane ke liye ya kaam pe rakhna padta hai lekin ab kuch log subah ki jarurat wali saman bhi home delivery bhi kar rahe hai or achha kama rahe hai
jaise ki bachho ko peene ke liye doodh, bread,etc isse ghar wale ka subah ka kam samay par ho jata hai or wo apne bachhon ko samay par school bhej pate hai or wo log ki bhi kuch kamai hoti hai
online shopping ke bahut saare advantage and disadvantage hai ham usko bhi janane ki koshish karenge keunki online shopping jitna achha hai kahi usse kharab bhi ho sakta hai is liye hame online shopping karne se pahle achhe se samajh lena chahiye uske baad hi online shopping karna chahiye
online shopping advantage
- Time ki bachat
- paise ki bachat
agar ham dukan se saman khareedte hai to hame wo mahange dete hai koi sasta to koi mahanga lekin hame wo lalach ulte sidhe bat kah ke de hi dete hai lekin online aapke santh aaisa nahi hoga
- Home delivery
NOTE
visit secure shopping site
agar aap internet use karte hai to aapko malum hi hoga ki internet pe bahut saare dhokha dene wale log bhi hai agar aap jarasa bhi galati karte hai aapko bahut badi paresani ho sakti hai agar aap online shopping karte hai to secure site se hi kare jisme https ho kabhi bhi http wale site pe kabhi bhi online shopping na kare keunki aapka information leak ho sakta hai
online shopping disadvantage
waiting
aap achhe retting wale shopping site se hi shopping kare or uska rating check karle uski retting achhi ho tabhi uske santh shopping kare warna aapko product delivery karne me bahut sare samay le sakte hai jo achhe seller hai ya jo achhe shopping website hai wo samay se aapko delivery deti hai
- Refunds/Returns Disputes
indian online shopping website
yaha pe main aapko kuch online shopping site ka name bata de raha hai jisse aap opline shoppping kar sakte hai ye sab site trusted shopping site hai
agar ham saudi arab ka bat kare to yaha bhi online shopping site hai lekin bahut hi kam hai
online shopping karne ke liye hame kya chahiye ?
- shopping site account banane ke liye ek Email id
- Debit/credit card net banking
aap ka address product receive karne ke liye
kaise kare online shopping ?
online shopping karne ke liye to waise me bahut website kai lekin main aapko kisi ek site ke bare me bata deta hu aap same step follow karke sabhi site pe register kar sakte hai main aapko flipkart ke bare me bata raha hu
flipkart se online shopping kaise kare ?
step 1 aap www.flipkart.com par visit kare
step 2
aap sign up button me click kare ek popup windows khulega usme apna mobile number dalna hai or continue ke button pe click karna hai jaise ki aap is image par dekh sakte hai
aap sign up button me click kare ek popup windows khulega usme apna mobile number dalna hai or continue ke button pe click karna hai jaise ki aap is image par dekh sakte hai
step 3
ab aapke pass ek 6 digit ka otp aayega osko inter karna hai or ek apne pasand ka password choose karna hai or signup ke button ke click karna hai jaise ki aap is image me dekh sakte hai
step 4
uske baad aapke samne ek windows khulega usme apna address dalna hai jis address pe aap apna product lena chahte hai
ab aapke samne payment ka option aayega usme aap jaise payment karna chahte hai wo option select kare
usme bahut sare option diye gaye honge
jaise ki
flipkart payment option
- debit card
- credit card
- Net banking
- Atm
- imps
- COD
- EMI
mujhe umeed hai ki aapne sikh liya hoga ki online shopping kaise karte hai agar aapka koi bhi sawal hai to aap hame comment box me bataye agar ye information useful laga to apne dosto ke santh bhi share kare
- aap hame question answer forum me suggest kar sakte hai ki main koun sa topic pe aapko or jankari du
Great post!!.
ReplyDeletebest online shopping in uae
uae online shopping