.

Header Ads

Breaking News
recent

stc wifi modem ya router me mac filtering kaise lagaye

hello frirnds 
kya aapko pata hai stc wifi router me mac filtering kaise lagate hai agar aapko pata hai to bahut aachhi bat hai agar aapko nahi pata hai to aap isse padhne ke bad achhe se sikh sakte hai ki stc wifi router me mac filtering kaise lagate hai

mac-filtering-stc-wifi-modem
 

mac filtering lagane ke fayede kya hai ?

sabse pahle ham jaan lete hai ki mac filtering keun lagaye or iske kya kya fayede hai 

agar aapka wifi password chori ho raha hai or koun chori kar raha hai aapko pata nahi chal raha hai to aap mac filtering laga kar bach sakte hai mac filtering lagane ke bad aapka 
wi-fi koi chori nahi kar sakta hai aaj jitne logo ka mac address add karenge unte log hi aapka wifi chala sakenge baki log ke pass password bhi hoga tab bhi nahi chala payenge aapka wifi 

mac filtering lagane ke liye kya kya chahiye ?

  1. mac filtering laganae ke liye aapko modem ya router se connect hona chahiye 
  2. aapko apne modem ya router ka login id or password yaad hona chahiye 
  3. aapke pass internet hona chahiye 
  4. aapke pass mobile ya pc hona chahiye 
  5. aapko ip address malum hona chahiye
  6. jitne logo ko add karna hai uska mac address kaha se laye 

ip address kaise pata kare ?

ip address pata karne ke liye aap apne modem ya router ke pichhe likha hoga jaise 192.168.1.1 ya 192.168.0.1 ya 192.168.8.1 aaise likhe honge aap usko likh le or apne browser me khool ke dekh le ki aapka ip address sahi hai na agar aapne change kiya hoga to aapko yaad hoga aap usse khol sakte hai 

modem ka login password kaise pata kare ?

modem ka login id or password pata karne ke liye aap uske pichhe dekh sakte hai waha pe likha hoga waise main aapke jankaari ke liye bata dena chahta hu ki default login id admin admin hota hai agar aapne change nahi kiya hoga to aap admin admin daal kar khool sakte hai 

 mac address kaise pata kare ?

Ab sawal ye hai ki aap kisko kisko add karna chahte hai to uska mac address kaha se laye ki unka mac address kya hai agar aapko mac address malum nahi hoga to aap unko add nahi kar payenge 
mac address pata karne ke liye aap unke mobile me khol ke bhi dekh sakte hai 

android mobile  me mac address kaise pata kare ?

android me mac address pata karne ke liye aap setting open kijiye 
about kholiye status kholiye usme aapko wifi mac address mil jayega aap usko likh ke rakh sakte hai 

mac address kaha se laye ?

agar aapko malum nahi hai to aap aap modem ya router mese bhi mac address khol ke dekh sakte hai ya usko copy paste kar sakte hai mac address dekhne ke liye aap apna modem ya router ke setting me jaye statistics me jaye waha aapko jitne bhi device connect honge wo aapko dikh jayenge ya agar aapka setting dusra hoga to aap DHCP me bhi dekh sakte hai waha pe aapko mil jayenge 

stc wifi me mac filtering kaise lagaye ?

main aapko step by step bata raha hu aap mujhe follow kar sakte hai 
  1. open your browser 
  2. inter your ip address 
  3. inter your login username and password 
  4. click on setting 
  5. click WLAN
  6. click WLAN mac filtter
  7. inter your mac address 
  8. select allow or deny 
  9. click on apply botton 
jaisa ki aap is image me dekh rahe hai 

mujhe umeed hai ki aapne modem ya router me mac filtering laga liya hoga agar aapko kuch bhi pareshani ho rahi hai to aap comment box me puchh sakte hai aapko ye artical kaisa laga please hame bataye or isse apne dosto ke santh bhi share kare aaise hi bahut sare article is site par hai aap usse padh kar bahut kuch sikh sakte hai padhte rahiye or sikhte rahiye 

No comments:

HUSEN TECHNICAL . Powered by Blogger.