tp link wi-fi me speed limit kaise lagaye - puri jankari hindi me
Hello friends
Welcome to husen technical aaj main aapko bataunga ki aap tp link me apne user ki speed ko control kaise kar sakte hai maan lete hai maine apna jo internet liya hai uska speed 10 mbps hai or main usme kisi khaas aadmi ko kam speed dena chahta hu sabse pahle ham jaan lete hai ki hame aisa karne ki jarurat kyon hoti hai bahut bar ham dekhte hai ki hamare wi-fi user movie ko download me daal dete hai agar hamara speed high hota hai to kisi ek ke download karne se koi fark nahi padta lekin wahi jyada log download karne lagte hai to hamara speed slow ho jata hai isse bachme ke liye sabse best tarika ye hai ki ham sabhi logo ko internet ki speed ko kam kar denge ya divide kar denge isse kya fayeda hoga hamko agar koi download bhi karta hai to hame hamari speed utni hi milegi
Iska agar me aapko example du to simple sa example hai hamne 10 aadmi ka khana banaya lekin usme se 5 logo ne pura khana kha liya or dusro ke bare me kabhi nahi socha or unko khana nahi mil raha hai isliye ham ek aaisa kam karenge jisase sabko barabar khana milega kisi ko jyada nahi milega kisi ko kam nahi milega iske liye ham apne wifi me sabko speed kam karenge koi agar download kar raha hai to usi ka internet speed slow hoga dusre ka nahi
uske liye aapko sabse pahle apna pc kholna hai ya agar aapke pass mobile hai to apna mobile kholna hai or browser khol ke aapne wifi ka ip address type karna hai jaise ki 192.168.0.1 aapke tp link ke piche ye number likha hoga aap ka number alag bhi ho sakta hai ye number main aapko example ke liye diya hu aap apna ip address se santh khole jo aapka ip address hai uske baad aapko apne tp link me login kar lena hai agar aapko username password pata nahi hai to aap default pe khol sakte hai agar aapne change nahi kiya hai to default username or password admin or username admin hota hai
ab aapko bandwidth control me jana hai or aapko apna maximum plan set kar lena hai jaisa ki aap upar image me dekh rahe hai upar wale box me tick mark karle or save karde
ab aapko rules list me jana hai aap upar image me dekh sakte hai ip range me aapko ip address dalna hai jiska aap net ki speed kam karna chahte hai uske bad aapko uske baad aapko maximum bandwidth kbps me aapko jisna speed dena chahte hai usme daal de or save karde ab usko utna hi internet speed milega jina aapne usko diya hai
ab aapko save ke boton pe click karke save karna hai mujhe umeed hai ki aapne sikh liya hoga ki tp link me speed limit kaise lagate hai agar aapka koi bhi sawal ya sujhao hai to hame comment box me bataye
jyada jnakari ke liye aap is video ko dekh sakte haicredit :-billi4you
No comments: